10 Things That Every Indian Mom Says

10 Things That Every Indian Mom Says - RVCJ Media

No one can ever be like mom and more or less, all moms are similar in some way. At least the way she speaks or statements we get to hear in everyday life from her. But mom is incredible and nobody can take her place. Below I have mentioned 10 things that every Indian mom says:

1. Har samay phone par lage rehte ho. Koi aur dusra kaam hai ya nahi? Padhai kitni ki aaj?

2. Mere bachche ko kisi ki najar na lage… mera raja beta

3. Kitna kamjor ho gaya hai tu. Kuch khata-peeta hai ya nahi?

4. Ye ladki kaun thi tere saath? Teri class me padhti hai? Tum dono sirf dost ho na?

5. Jab pata tha der hogi to ek phone nahi kar sakta tha? Pata hai hum kitne pareshaan ho rahe the. Tum aaj kal ke bachchon ko to apne siwa kisi ki fikr hi nahi hai.

6. Tum maa baap banoge to samajh me aayega ki hum tumhari bhalai ke liye hi kehte hain.

7. Hum apne time me saare kaam khud karte the. Tum logo ko baithe-baithe mil raha hai to nakhre badh rahe hain.

8. Paise ped par nahi ugte. Jab dekho ye chahiye wo chahiye. Roj nayi farmaishein.

9. Aaj kal ke gaane dekho… na sharm na lihaj, aadhe-chauthai kapdo me ladko ke saath nachti rehti hain… had ho gayi hai besharmi ki… hamare zamane ke gaane kitne madhur hote the… evergreen… aaj bhi unka craze khatam nahi hua

10. And the most loving one, “Khaana khaaya?”

I love you mom. Aapki daant me bhi pyaar chupa hai. No matter how much your parents scold you, they love you the most in the world.

Exit mobile version